|
Title: Main Ne Har Kaanta Teri Raah Ka Palkon Se Chunaa - Saira Naseem Version With Lyrics View count: 791 Rating: 5.0 (10 ratings) Description: Main Ne Har Kaanta Teri Raah Ka Singer: Saira Naseem Lyrics: Khwaja Pervez (Also the host of this show) Lyrics: Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa... Jaane kya soch ke har zulm ravaa rakha hai? Kaya main pathar hun jo qadmon mein sada rakha hai Main ne rakha hai faqat apni mohabat ka bharam Varna harjaai tere pyaar mein kaya rakha hai? Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa... Bewafaai ka gilaa lab pe nahin laoon ga Tu muqadar mein nahin dil ko yeh samjhaaoon ga Haal-e-dil sunanen ki shayed tujhe fursat na miley Teri dunia se bohat door chalaa jaoon ga Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa Yeh muqadar ka likha hai koi takraar nahin Yeh muqadar ka likha hai koi takraar nahin Meri qismat mein kahin saaya-e-deewar nahin Ab main tujh se inayat ka talabgaar nahin Yeh gunah sab se bara keh gunahgaar nahin Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa Log kehtay hain, main dushman hun tera tu ne suna Maine ne har kaanta teri raah ka palkon se chunaa Tags: saira, naseem, main, ne, har, kaanta, teri, raah, ka, pashon8man, khwaja, pervez, Author: Pashon8man |